Shayari Hattrick

Monday 23 July 2018

Sad Shayari, Emotional Shayari, Sad Poetry, Breakup Shayari

Sad Shayari, Bewafa Sad Shayari, Very Sad Shayari, Emotional Shayari, Sher Shayari Sad, Bewafa Shayari in Hindi, Sad Shayari Image, Ghalib Shayari, Sad Poetry, Breakup Shayari


Sad Shayari, Emotional Shayari, Sad Poetry, Breakup Shayari
Sad Shayari, Emotional Shayari, Sad Poetry, Breakup Shayari




Kya Khoob Hi Hota Agar Dukh Ret Ke Hote,
Muththhi Se Gira Dete Pairon Se Uda Dete.




Anjaam-e-Wafa Ye Hai Jisne Bhi Mohabbat Ki,
Marne Ki Duaa Maangi Jeene Ki Sazaa Payi.




Nafratein Lakh Mili Par Mohabbat Na Mili,
Zindagi Beet Gayi Magar Rahat Na Mili,
Teri Mehfil Mein Har Ek Ko Hansta Dekha,
Ek Main Tha Jise Hasne Ki Ijazat Na Mili.




Udaas Kar Deti Hai Har Roj Yeh Shaam Mujhe,
Lagta Hai Tu Bhool Raha Hai Mujhe Dheere-Dheere.




Naadani Ki Hadd Hai Jara Dekho Toh Unhein,
Mujhe Kho Kar Wo Mere Jaisa Dhhoondh Rahe Hain.



Sad Shayari, Emotional Shayari, Sad Poetry, Breakup Shayari
Sad Shayari, Emotional Shayari, Sad Poetry, Breakup Shayari


Iss Mohabbat Ki Kitaab Ke,
Bas Do Hi Sabak Yaad Huye,
Kuchh Tum Jaise Aabaad Huye,
Kuchh Hum Jaise Barbaad Huye.




Ab TumKo Bhool Jaane Ki Koshish Karenge Hum,
Tum Se Bhi Ho Sake Toh Na Aana Khayal Mein.




Najar Bacha Ke Gujar Jayein Woh Mujhse Lekin,
Mere Khayal Se Daaman Woh Bacha Nahi Sakte.




Uski Baahon Mein Sone Ka
Abhi Tak Shauk Hai Mujhko,
Mohabbat Mein Ujad Kar Bhi
Meri Aadat Nahi Badli.




Lamhon Ki Daulat Se Dono Hi Mahroom Rahe,
Mujhe Churana Na Aaya Tumhein Kamana Na Aaya.



Sad Shayari, Emotional Shayari, Sad Poetry, Breakup Shayari
Sad Shayari, Emotional Shayari, Sad Poetry, Breakup Shayari




Na Jaane Iss Zid Ka Nateeja Kya Hoga,
Samjhata Dil Bhi Nahi Main Bhi Nahi Tum Bhi Nahi.




Bikhri Kitaabein Bheege Palak Aur Yeh Tanhai,
Kahun Kaise Ke Mila Mohabbat Mein Kuchh Bhi Nahi.




Aisa Lagta Hai Ke Woh Bhool Gaya Hai Humko,
Ab Kabhi Khidki Ka Parda Nahi Badla Jata.




Humein Apne Ghar Se Chale Hue,
Sar-e-Raah Umar Gujar Gayi,
Na Koi Justjoo Ka Sila Mila,
Na Safar Ka Haq Hi Adaa Hua.




Tu Meri Barbadiyon Ke Jashn Mein Shamil Raha,
Yeh Tasawwur Hi Bahut Aaraam Deta Hai Mujhe.